Free Fire Ka Malik kaun hai aur Free Fire kis Desh ka Game Hain?

Free Fire Ka Malik kaun hai aur Free Fire kis Desh ka Game Hain?
Hello Friends aaj ke is article me mai aapko batane wala hun ki Free Fire Ka Malik kaun hai, Free Fire kis Desh ka Game Hain aur Garena Free Fire game kya hain? Agar nahi jante to aaj ke is Post ko pura padhiye aaj mai aapko Free Fire se related kuchh important information Dene wala hun. 

Dosto PUBG Game ke baad Free Fire Game ko kafi logo ne pasand kiya Size kam hone ke vajeh yeh game maximum smartphone mein chal jata Hain dosto yeh bhi kaaran ho sakta Hain iss game ko papular hone ke pichhe. 

Garena Free Fire Game Kya Hain? 


Dosto Free Fire Game ek Online Battle Royal Game hain isme 49 players ke sath Airplane se apni man pasand jagah jump karna hota hain. Jump karne ke baad player Weapons ko collect karta hain aur ek dusre player ko gun se marte hain. Dosto jo last Tak survive kar pata hain usi ka BOOYAH! hota hain matlab wahi the winner hota hain.

Free Fire game 2019 me most downloaded game reh chuki hain. Aur dosto iske papular hone ke vajeh se ise 2019 mein Google Dwara Best Papular Vote Game ka award mil chuka hain. 

Free Fire Ka Malik kaun hain? 

Forrest Li

Garena Free Fire ke Malik “Forrest Li” Hain. Free Fire game ko 3 Dots Studio dwara developed kiya gaya hai. Aur is game ko Garena Name ki company dwara published kiya gaya hain. Garena Ke Malik Forrest Li Hain. Aur dosto Free Fire Game ke Current CEO bhi Forresh Li Hi Hain. 

Dosto Garena ki agar Baat kare to ye ek Online Game developer aur publisher company hain jo Singapore mein Located hain.

Free Fire kis Desh ka Game Hain? 


Dosto Garena Free Fire game ko Garena name ki company dwara published kiya gaya hain aur Garena ek Singaporean Online Game developer aur publisher company hain, dosto Garena Free Fire bhi Singapore ka hi Game Hain. 

Dosto iske alawa, garena ke Founder aur current CEO Forrest Xiaodong Li Bhi Singapore ke Citizen hain and Forrest Xiaodong Li Ne 2009 mein Singapore mein Garena Company ki Establishment ki thi. Dosto yeh bhi ek vajeh ho sakti hain Ki Garena Free Fire Ek Singaporean game hain. 

Free Fire Ko kisne banaya?


Dosto jaise ki maine aapko upar pehle hi bataya ki Garena Ek Online Game developer aur publisher company hain. 2009 mein Forrest Xiaodong Li ne banaya Tha. Then 2017 mein Forrest Li ne Garena Free Fire Game ko 111 Dots Studio dwara developed kiya Tha. 

Free Fire Ke Founder Kaun Hain? 


Dosto Free Fire Game ke founder Forrest Xiaodong Li Hain aur inhe Forrest Li bhi kehte hain. Inhone 2009 mein Garena Ki Sthapna ki aur 2019 me Garena Free Fire game ko 111 Dots Studio dwara banaya. Forrest Li ek Billionaire Businessman hain. 

Dosto Inka janm China mein hua tha. Forrest Li apni Degree Shanghai Jiaotong University Se hasil kiya aur Stanford Graduate School of business se MBA kiya hain. 

Free Fire Game ki Shuruaat kab Hui Thi? 


Dosto Free Fire Game ki Shuruaat 2017 mein hui thi aur ise 111 Dots Studio dwara banaya gaya tha. Dosto dhire dhire ye game Duniya bhar me papular hone lagi iske chhote size aur Amazing Graphics hone ke kaaran is game ko downloads kiya gaya jiska Result 2019 mein bahut behtreen mila tha. 

Aur abhi current samay 2022 mein iske 100cr se bhi jyada users hain aap andaja lga sakte hain ki ye game kitna papular ho chuka hain aaj ke samay mein. 

2019 mein Garena Free Fire game ko Most Downloaded Game of 2019 yani ki dosto 2019 mein sabse jyada game download kare Jane ke Award bhi mila tha. 

Kya Free Fire Chinese Game hain? 


Free Fire Game ko dosto 2017 mein 111 Dots Studio dwara Garena International Limited ke Leadership mein banaya gaya Tha. Garena company Sea Limited. Ke under aati hain ji Singapore mein Located hain. Aur iske CEO Forrest Li Hain inka janm China mein Hua hain.

Free Fire game ke founder Forrest Li China ke hain iska MATLAB ye nahi dosto ki Free Fire game Chinese Hain. Garena Singapore me Located hone se ham log keh sakte hain ki Free Fire Game Singapore ka hain. 

Aur dosto yeh Game Android, iOS, PC aur Gaming Consoles me bhi Available hain. Aur dosto aapke information ke liye bta de isiliye ye Game India me ban nahi hain PUBG ki tarah kyuki Ye game Chinese Hain hai hi nahi. 

निष्कर्ष (Conclusion): 

Aasha karta hu mere dwara di gayi jankari pasand aayi hogi aur aap smjh paye honge ki Garena Free Fire Ka Malik kaun Hai, Garena Free Fire Kis Desh ka Game Hain? Iske awala hamne aapko bataya ki Garena Free Fire Game kya hain? Aur Free Fire ka Founder Kaun Hain? Ye bhi jana.

Dosto agar aapka koi sawal hai to comment kariye aur is Post ko apne friends ke paas share kariye taki unhe bhi pta chal paye Free Fire Game Ka Malik Kon hain .

Dhanywaad

एक टिप्पणी भेजें

और नया पुराने