Hello Friends, aaj ke is article me mai aapko batane wala hun ki BGMI mein jyada kill kaise kare. Agar aap bhi Battlegrounds Mobile India Game khelte ho aur aur usme jyada Kills karna chahte ho to chinta karne ki koi baat nahi hain, kyuki aaj me aapko yahi bataunga ki BGMi me jyada kill kaise kar sakte hai.
BGMI Kya Hai?
Dosto BGMI ka Full Form Hain (Battlegrounds Mobile India). Dosto BGMI Game Pubg ka updated Version hain. Isko khelne ke liye log kafi jyada excited ho rahe hain. Jaise hi ye Game Google Play Store par Launch Hua logo ne isko turant apne mobile me download kiya abhi ke samay me iske 5Cr se bhi jyada Downloads Hain.
Battlegrounds Mobile India Game Ko Krafton Company dwara banaya gaya hain. Jo ki ek South Korean Company hain. Dosto PUBG mobile Game Bharat sarkar ne ban lga diya tha jiske chalte log kafi jyada demand kar rahe the ki isko wapas laya jaye Isiliye Pubg ka updated version India me launch Kiya gaya jiska name BGMI hain.
Dosto dekhte hi dekhte ye game itna jyada papular ho gaya hain ki iski sankhya din ka din badhti hi ja rahi hain. Aur jo bhi BGMI game khelta hai wo har ek player chahta Hain ki me bhi jyada se jyada kill kar paaun aur ek achha pro player banu, agar aap bhi Janna chahte hain to is Post ko last Tak jarur padhe jisme ham aapko batayenge BGMI me sabse jyada kill kaise kare?
BGMI me sabse jyada Kill kaise kare
Dosto BGMI me sabse jyada kill karne ke liye skills ka hona bahut jaruri hain ji han, agar aap bhi kisi bhi gun ka recoil control kar lete hain to aap bhi kisi bhi player ko asani se maar payenge aur BGMI me sabse jyada kill kar sakte hain.
Battlegrounds Mobile India me kisi bhi player ko kill karne ke liye aapka nishana yani aim kafi achha hona chahiye. Me aapko kuchh aise tarike batane wala hun jinki madad se aap Battlegrounds Mobile India me bahut hi jyada Kills kar payenge.
1. Best Control Setting
Dosto aapko default control setting se kabhi bhi nahi khelna hain dhyan rahe. Aapko hamesha apne hisab se control setting setting karna hain aisa karne par aap ke hath achhe se set ho jayenge aur aap movement bhi kafi achha karna Sikh jayenge .
Control setting karne ke liye aapko BGMI Game open karna hain uske baad aapko niche ke side errow dikhega corner me aapko usme click karna hain.
Jab aap kisi Enemy Ko ghar ke andar se maar rahe ho to dhyan rahe aapko hamesha Peak and Fire karna hain aisa karne par samne wala enemy aapko jaldi se damage nahi de payega aur peak and fire karke aap asani se damage de payenge samne wale enemy ko aur usko jaldi se maar payenge.
2. Play Training Mode
Dosto jitne bhi pro pro Players hain Wo sabhi Log training mode khelte hain ghanto ghanto aur apne Recoil Ko behtar bna pate hain. Dosto yakeen maniye agar aap bhi training mode khelte hain din me 30 minutes bhi to aap kaafi achhe player ban sakte hai aapka recoil aur aim kafi achha ho jayega.
Training mode khelte hai to aapko sari guns aur scope dekhne ko milenge aap jis bhi gun se khelna seekhna chahte hain Sikh sakte hain aur scope lga kar training karenge to aapko recoil bahut achha ho jayega.
Aapko apna Aim aur Recoil Ko control karna seekhna hain aur enemy ko marte samay moment bhi karna seekhna hoga, agar aap ye sab karte hain to 100% aapko improvement dekhne ko milegi aur aap bhi BGMI me jyada se jyada Kills kar paoge.
3. Best Sensitivity Settings
Dosto bahut sare players ye galti karte hain jab wo game download karte hain unko Jo sensitivity setting by default milti hain usi me set rehne dete hain aur khelte hai, agar aap ye galti kar rahe ho to usko sudharo aur apne hisab se sensitivity settings karo.
Dosto kisi bhi Enemy ko marne ke liye Sensitivity Settings bahut important hoti hai. Jitni hi achhi aapki sensitivity hogi utna hi recoil kam hoga. Aur aap bhi jyada se jyada Kills kar payenge.
4. Always use graned and cocktail
Dosto yakeen maniye ye bahut hi badhiya tarika hain kisi bhi Enemy ko maarne ka. Iska use aapko tab karna hain jab koi enemy Ghar me chhupa ho aur aap waha na ja pa rahe ho. Ya kahi bhi aisi jagah ho jab usko pta na ho ki aap uske paas ho lekin aapko pta ho tab aapko ye kaam karna hain. Aisa karne par wo mar jayega.
Agar aapka koi bhi Teammate Ko revive karna ho tab aapko smoke bam ka istemal karna hain aisa karne par Dushman apko dekh nahi payega aur aap asani se apne teammate ko revive kar payenge.
Aapko hamesha apne teammates ke sath reh kar khelna hain kyuki cover fire ki jarurat padegi to aapka teammate de sakta hai. Agar aap sath khelenge to jyada se jyada Kills kar payenge any match me.
Conclusion:
I hope aapko pta chal gaya hoga ki BGMI me jyada kill kaise kare? Ya BGMI Game me jyada se jyada kill kaise kare? Agar aapka abhi bhi kisi bhi tarah ka koi bhi sawal hain to aap mere se comment box me puchh sakte hain.
Me aapke sawal ka jawab jald se jald dene ki puri koshish karunga chaliye dosto milte hain fir aapse agle article me jab tak ke liye dhanywaad.