Battlegrounds Mobile India mein Name Kaise Change Kare? | How to Change name in BGMI 2023?

Hello friends, aaj ke is article mein mai aap sabhi ko batane wala hun ki BGMI Game me Name Kaise Change Kare?, How To Change name in BGMI in Hindi?, Agar aap bhi Battlegrounds Mobile India Game ko khelte hain, aur usme apna Name Change karna chahte hain to ye article Spacially aapke liye hi hain. 

Dosto BGMI name change karne ke liye aapke pass Rename Card hona chahiye, agar aapke pass Rename Card nahi hain To ye bhi bataunga ki BGMI/PUBG Mein free rename card kaise prapt karen? (How to get Free rename Card in BGMI/Pubg?) MATLAB ki Bina Rename Card liye BGMI me name kaise badle (How to change name in BGMI Without Rename Card in Hindi?

Aur dosto maanLo ki aapko rename card mil gaya theek hain, lekin aapka ye question rehta Hain apko sabhi logo ka ye question rehta hain ki BGMI ya PUBG me name kaise change kare stylish? (How to change name in BGMI with symbol in Hindi?) ,Mai aapko ye bhi bataunga ki stylish name kaise rakhe chaliye Jante Hain. 

BGMI mein name Kaise Change Kare


BGMI mein name Kaise Change Kare? 


Dost jaisa ki maine aap sabhi ko pehle hi bataya ki Battlegrounds Mobile India me name change karne ke liye aapke Pass Rename Card ka hona bahut jaruri Hain, agar aapke paas Hain To chaliye jante hain.

Dosto Name badalne ke liye mai aapko number ki madad se bata raha hun jo ki kuchh is prakar se hain: 

BGMI name badalne ka tarika?


1. Dosto sabse pehle aapko apne BGMI game ko open karna hain. 
2. Open karne ke baad aapko apne uss ID se Login kar Lena Hain Jisme aap name change karna chahte ho. 
3. Login karne ke baad aapko niche ke side left side me “Inventory” Par Click Kar lena hain.
4. Inventory Par click karne ke baad aapko kuchh is tarah ki Screen Dikhayi degi Jaise Ki aap 5th step par dekh pa rahe honge.
5. 
How to change name in Battlegrounds Mobile India
Aisa screen dekhne ko milega aapko Last Box wale icon par click karna hain uske Baad apna Rename Card Select kare aur use Par Click Kare. 
6. Use Par click karne ke baad aapko kuchh aisa Screen dekhne ko milegi jaise Ki niche aap dekh pa rahe honge:
BGMI me name kaise badle

Ab aap jo bhi name rakhna chahte Hai wo rakhe, Agar aap stylish Name rakhna chahte hain, to wo kaise hoga maine aapko Bataya Hai. Pehle aap ye Sikh Lo bgmi ya PUBG me name kaise change kare. 
7. Name Likhne ke baad aapko simply “OK” par Click karna Hain aur aapka name change ho jayega. 

Dosto I hope maine jo steps aapko bataye wo achhi tarah se follow kiye honge aur samajh aaya hoga ki bgmi me name kaise change Kiya jata Hain. Agar aapko text se samajh nahi aa raha to image dekhkar bhi samajh sakte hain. Ab jante hain ki BGMI me rename Card Kaise Le? 

Battlegrounds Mobile India (BGMI) Game me Rename Card Kaise Le? 


Chaliye ab ham log jante hain ki BGMI me rename card kaise Le? (How to get rename card in BGMI In Hindi?), Bgmi me rename card lene ka tarika bahut hi asan hain chaliye jante hain kuchh Numbers Ki madad se: 

BGMI me rename card lene ka tarika

1. Sabse pehle aapko apne Game ko open karna hoga. 
2. Game open hone ke baad apne uss account ya ID se Login Karen jismein Rename Card Kharidna chahte hain.
3. Login karne ke baad Aapko Lobby Ka interface dikhayi dega. 
4. Ab aapko “Shop” wale option par click karna hain jo right side me dikhayi deta hain. 
5. shop par click karne ke baad aapko kuchh aisa interface dikhayi dega jaisa ki aap niche screen par dekh pa rahe honge.
BGMI me Rename Card Kaise Kharidne

Image ko dekhe aur waise follow kare. Aapko dusre Wale “Treasures” Option par click karna hai. Uske baad Rename Card Select kariye Aur 180 UC par click kariye, agar aapko samajh nahi aa raha hain to image dekhiye Jo upar maine diya hua hain. 
6. 180 UC par click karne ke baad aap jitne bhi rename Card Kharidna chahte hai utna set kare. 
7. For example mai ek rename card purchase karna chahta hu to maine 1 select Kiya aur purchase par click kar diya. 

Dosto I hope aapko samajh aaya hoga ki Rename Card kaise purchase karte hain maine aapko step by step detail me batane ki koshish ki hain. 

Ab jante hain ki agar aapke pass UC Kharidne ke liye paise nahi Hain to aap bilkul free me rename card claim kar sakte hain yani ki BGMI me free rename card kaise prapt kare? (How to get free rename card in BGMI in Hindi?

BGMI me free rename card kaise prapt Karen?


  • Sabse pehle apne BGMI game ko open karna hoga. 
  • Open karne ke baad apne uss account se login kare jisme aap free me rename card lena chahte hain. 
  • Login karne ke baad aapko Lobby dikhegi, ab aapko Niche ke side “Missions” Wale option par click karna hoga.
  • Ab aapko bahut sare options dekhne ko milenge lekin aapko “progress Missions” par click karna hain.
  • Ab aap jis bhi Level me hain Wo aapko dekhne ko milenge. Aapko Lv.10 Par Rename Card Milega bilkul free.
  • Agar aap level 10 Cross kar chuke hain to aapko Level.10 Pad click karke Apna Rename Card collect kar lena hain.

Dosto me aasha karta hun aapko samajh aagya hoga ki free me rename card kaise claim karte hain. Ab jante hain ki BGMI me stylish name kaise rakhe? 

BGMI mein stylish name kaise rakhe? 


  • Dosto sabse pehle apne BGMI game ko open karna hain.
  • Open karne ke baad apne uss account Ya ID se Login kare jisme Stylish name rakhna chahte hain.
  • Login karne ke baad aapko Lobby ka interface dikhayi dega.
  • Ab aapko “season” wale option par click karna hai.
  • Season wale option par click karne ke baad aapko “Rank” Wale option Par click karna hain.
  • Rank wale option par click karne ke baad aapko Server Ranking ki list dikhayi degi.
  • Ab aap uss ID ko dekhe Jiska aapko name jyada stylish ya pasand aata ho. 
  • ID select karne ke baad uspar click kare, then Uss ID ka name Copy Kar Le.
  • Name Copy Karne ke baad Aapko Back aana hain aur “Inventory” wale option par click karna hain 
  • Inventory par click karne ke baad aapko bahut sare options dekhayi denge aapko Last wale option ya “Box icon” Par click karna hain.
  • Ab aap Rename Card Select kare “Use” par click kare aur Jo name copy Kiya Tha use paste kare.
  • Paste karne ke baad Aapko dusre ke name ke badle apna name dalna hai edit karke aur symbol ko rehne Dena hain.
  • Name edit karne ke baa aapko “OK” par click karna hai aur ab aapka Stylish name ho chuka hain. 

Dekha na friends kitna easy tha stylish name rakhna na hi aapko koi Third party app download karna hai ya kisi website par visit karna hai aap game me reh kar hi stylish name rakh sakte hain. 

निष्कर्ष (Conclusion): 


Dosto mujhe ummid hain aapko achhi tarah se samajh aagya hoga Ki BGMI me name kaise change Kare?, BGMI me rename Card Kaise Le?, BGMI mein free rename card kaise prapt karen? BGMI mein stylish name kaise rakhe?, Iske bare me maine puri jankari di hain. 

Agar aapko mera ye post pasand aaya ho to aap ise apne friends ke pass jarurat share kare, agar koi sawal hain to comment kare.

Dhanywaad

Also Read: 

2 टिप्पणियाँ

और नया पुराने